raushni ka qalib jab tirgi mein Dhalta hai
raushnī kā qālib jab tīrgī meñ Dhaltā hai
ḳhvāhishoñ ke siine meñ merā dil machaltā hai
regzār sochoñ kā sūrajoñ kī zad meñ hai
jism ārzūoñ kā haule haule jaltā hai
jab bhī koī hamrāhī saath chhoḌ jaatā hai
muddatoñ ḳhayāl us kā saath saath chaltā hai
umr bhar kī qismat kab itnā to Thahar jaatā
jitnā ek muflis ke ghar charāġh jaltā hai
intizār kā sahrā phailtā hī jaatā hai
ik sarāb ban kar vo rāste badaltā hai
raushni ka qalib jab tirgi mein Dhalta hai
KHwahishon ke sine mein mera dil machalta hai
regzar sochon ka surajon ki zad mein hai
jism aarzuon ka haule haule jalta hai
jab bhi koi hamrahi sath chhoD jata hai
muddaton KHayal us ka sath sath chalta hai
umr bhar ki qismat kab itna to Thahar jata
jitna ek muflis ke ghar charagh jalta hai
intizar ka sahra phailta hi jata hai
ek sarab ban kar wo raste badalta hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 554)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.