raushni kar de sar-ba-sar maula
Interesting Fact
(For his son Sujawal Sultan)
raushnī kar de sar-ba-sar maulā
us kī āñkhoñ meñ nuur bhar maulā
sirf terā use sahārā ho
sirf terā hī us ko Dar maulā
us kī ḳhush-qismatī rahe daa.im
us se qaa.em hai merā ghar maulā
us kī parvāz ho surayyā tak
kar de mazbūt us ke par maulā
nekiyāñ hoñ qarīb aur qarīb
duur us se hoñ saare shar maulā
shab-e-tīra meñ mere kamsin ke
hausloñ ko buland kar maulā
ye mujhe is qadar zarūrī hai
jaise ghar ke liye ho dar maulā
bar-zarūrat tasalliyoñ ke liye
dauḌ kar aa.eñ bahr-o-bar maulā
sirf kahnā hai lafz kun tū ne
sirf lagnā hai lamha bhar maulā
hāl-e-dil jab batā diyā tujh ko
yuuñ lagā ho ga.ī sahar maulā
aur jo kuchh na kah sakā baabā
kah rahī hai ye chashm-e-tar maulā
sab ko ye kah diyā hai 'tāhir' ne
merā koī nahīñ magar maulā
raushni kar de sar-ba-sar maula
us ki aankhon mein nur bhar maula
sirf tera use sahaara ho
sirf tera hi us ko Dar maula
us ki KHush-qismati rahe daim
us se qaem hai mera ghar maula
us ki parwaz ho surayya tak
kar de mazbut us ke par maula
nekiyan hon qarib aur qarib
dur us se hon sare shar maula
shab-e-tira mein mere kamsin ke
hauslon ko buland kar maula
ye mujhe is qadar zaruri hai
jaise ghar ke liye ho dar maula
bar-zarurat tasalliyon ke liye
dauD kar aaen bahr-o-bar maula
sirf kahna hai lafz kun tu ne
sirf lagna hai lamha bhar maula
haal-e-dil jab bata diya tujh ko
yun laga ho gai sahar maula
aur jo kuchh na kah saka baba
kah rahi hai ye chashm-e-tar maula
sab ko ye kah diya hai 'tahir' ne
mera koi nahin magar maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.