raushni karte dil ke dagh mile
raushnī karte dil ke daaġh mile
rāste jab bhī be-charāġh mile
ham ne chāhā ki fikr ho raushan
sab ne chāhā ki bas charāġh mile
log hañste hue ga.e the udhar
aur lauTe to daaġh daaġh mile
vo milā jab bhī yuuñ lagā jaise
baat kartā koī charāġh mile
ḳhuub raushan thā vo makāñ lekin
kuchh añdhere pas-e-charāġh mile
sochiye kaun kāmyāb rahā
daaġh mujh ko use charāġh mile
jaane kyā daur aa gayā 'zebā'
raushnī DhūñDte charāġh mile
raushni karte dil ke dagh mile
raste jab bhi be-charagh mile
hum ne chaha ki fikr ho raushan
sab ne chaha ki bas charagh mile
log hanste hue gae the udhar
aur lauTe to dagh dagh mile
wo mila jab bhi yun laga jaise
baat karta koi charagh mile
KHub raushan tha wo makan lekin
kuchh andhere pas-e-charagh mile
sochiye kaun kaamyab raha
dagh mujh ko use charagh mile
jaane kya daur aa gaya 'zeba'
raushni DhunDte charagh mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.