raushni ke ek hawale ko liye phirta hun main
raushnī ke ik havāle ko liye phirtā huuñ maiñ
apnī jeboñ meñ ujāle ko liye phirtā huuñ maiñ
merā maslak hai jahāñ meñ sab ko ThanDak bāñTanā
chāñd huuñ dhartī pe haale ko liye phirtā huuñ meñ
sidq ke iz.hār kā is se baḌā kyā ho subūt
aaj kal hoñToñ pe taale ko liye phirtā huuñ maiñ
maut ko mujh se nahīñ hai chhīnñe vaalā koī
zahr-e-ḳhālis ke piyāle ko liye phirtā huuñ maiñ
jo bhī mere sāmne aa.egā khā.egā shikast
dil meñ ummīdoñ ke bhāle ko liye phirtā huuñ maiñ
ho gayā hai aañkh meñ mahfūz ḳhuuñ royā huā
bādaloñ ke surḳh gaale ko liye phirtā huuñ maiñ
parvarish paatī haiñ sājid makaḌiyāñ taḳhlīq kī
zehn meñ sochoñ ke jaale ko liye phirtā huuñ maiñ
raushni ke ek hawale ko liye phirta hun main
apni jebon mein ujale ko liye phirta hun main
mera maslak hai jahan mein sab ko ThanDak banTana
chand hun dharti pe haale ko liye phirta hun mein
sidq ke izhaar ka is se baDa kya ho subut
aaj kal honTon pe tale ko liye phirta hun main
maut ko mujh se nahin hai chhinne wala koi
zahr-e-KHalis ke piyale ko liye phirta hun main
jo bhi mere samne aaega khaega shikast
dil mein ummidon ke bhaale ko liye phirta hun main
ho gaya hai aankh mein mahfuz KHun roya hua
baadalon ke surKH gale ko liye phirta hun main
parwarish pati hain sajid makaDiyan taKHliq ki
zehn mein sochon ke jale ko liye phirta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.