raushni ke jo talabgar hue hum donon
raushnī ke jo talabgār hue ham donoñ
ek sūraj ke ḳharīdār hue ham donoñ
jo masīhā kī tarah ham se milā thā ik din
usī bīmār ke bīmār hue ham donoñ
us kahānī kā to likhnā kabhī mumkin na huā
jis kahānī ke bhī kirdār hue ham donoñ
chāñd ho tum to koī ek sitāra maiñ huuñ
shaam hote hī numūdār hue ham donoñ
phuul vo aur kisī naam ke aa.e the 'azīm'
jin kī ḳhushbū meñ giraftār hue ham donoñ
raushni ke jo talabgar hue hum donon
ek suraj ke KHaridar hue hum donon
jo masiha ki tarah hum se mila tha ek din
usi bimar ke bimar hue hum donon
us kahani ka to likhna kabhi mumkin na hua
jis kahani ke bhi kirdar hue hum donon
chand ho tum to koi ek sitara main hun
sham hote hi numudar hue hum donon
phul wo aur kisi nam ke aae the 'azim'
jin ki KHushbu mein giraftar hue hum donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.