raushni ke liye har pal jo hawa deta hai
raushnī ke liye har pal jo havā detā hai
yaad rakhnā vahī dīpak bhī bujhā detā hai
soch kar ye bhī qarīb aaya nahīñ maiñ tere
ḳhvāb nazdīkī kā duurī bhī baḌhā detā hai
pyaar karnā to magar us pe fidā mat honā
kyūñki dīpak hī patange ko miTā detā hai
pūchhtā huuñ jo maiñ anjām-e-mohabbat us se
aañkh se pyaar kā motī vo girā detā hai
yaad rakkhūñ to bhalā kaise us insān ko maiñ
din badalte hī jo ehsān bhulā detā hai
aise beTe pe bhalā kyā hī koī naaz kare
baap ke sar kī jo dastār girā detā hai
ye vo yug hai jahāñ nāvik ko batā kar doshī
naav ko paanī meñ tūfān Dubā detā hai
raushni ke liye har pal jo hawa deta hai
yaad rakhna wahi dipak bhi bujha deta hai
soch kar ye bhi qarib aaya nahin main tere
KHwab nazdiki ka duri bhi baDha deta hai
pyar karna to magar us pe fida mat hona
kyunki dipak hi patange ko miTa deta hai
puchhta hun jo main anjam-e-mohabbat us se
aankh se pyar ka moti wo gira deta hai
yaad rakkhun to bhala kaise us insan ko main
din badalte hi jo ehsan bhula deta hai
aise beTe pe bhala kya hi koi naz kare
bap ke sar ki jo dastar gira deta hai
ye wo yug hai jahan nawik ko bata kar doshi
naw ko pani mein tufan Duba deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.