raushni ke na the aasar band kamre mein
raushnī ke na the āsār band kamre meñ
vo to lau de uThā kirdār band kamre meñ
hai guzar apnā hī mushkil to phir ta.ajjub hai
kis tarah aa gayā bāzār band kamre meñ
sher jitne kahe ḳhārij kiye sivā us se
sirf purzoñ kā hai ambār band kamre meñ
chāñd tāroñ se alag ek aur duniyā hai
bāñchtā thā koī aḳhbār band kamre meñ
tajraba ḳhuub hai is par amal bhī karnā hai
rahnā hai ḳhud se hī hushyār band kamre meñ
joḌ kar rakhtā thā duniyā se jo vo hī ehsās
ab paḌā rahtā hai bīmār band kamre meñ
sach agar jhuuT ko taslīm kar bhī luuñ to anā
ruuTh kar kartī hai takrār band kamre meñ
raushni ke na the aasar band kamre mein
wo to lau de uTha kirdar band kamre mein
hai guzar apna hi mushkil to phir tajjub hai
kis tarah aa gaya bazar band kamre mein
sher jitne kahe KHarij kiye siwa us se
sirf purzon ka hai ambar band kamre mein
chand taron se alag ek aur duniya hai
banchta tha koi aKHbar band kamre mein
tajraba KHub hai is par amal bhi karna hai
rahna hai KHud se hi hushyar band kamre mein
joD kar rakhta tha duniya se jo wo hi ehsas
ab paDa rahta hai bimar band kamre mein
sach agar jhuT ko taslim kar bhi lun to ana
ruTh kar karti hai takrar band kamre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.