raushni ke silsile KHwabon mein Dhal kar rah gae
raushnī ke silsile ḳhvāboñ meñ Dhal kar rah ga.e
jitne manzar the sarāboñ meñ badal kar rah ga.e
sho.abde hī sho.abde phir tāliyāñ hī tāliyāñ
ham hī nādāñ the khilaunoñ se bahal kar rah ga.e
dekhte hī dekhte bāzār ḳhālī ho gayā
log apnī hī sadāoñ se dahal kar rah ga.e
vo tamāzat thī ki jañgal bhī dhuāñ dene lage
lahlahāte khet kyā saa.e bhī jal kar rah ga.e
lafz gūñge to na the par baat adhūrī rah ga.ī
tazkire kitne zabānoñ par machal kar rah ga.e
raushni ke silsile KHwabon mein Dhal kar rah gae
jitne manzar the sarabon mein badal kar rah gae
shoabde hi shoabde phir taliyan hi taliyan
hum hi nadan the khilaunon se bahal kar rah gae
dekhte hi dekhte bazar KHali ho gaya
log apni hi sadaon se dahal kar rah gae
wo tamazat thi ki jangal bhi dhuan dene lage
lahlahate khet kya sae bhi jal kar rah gae
lafz gunge to na the par baat adhuri rah gai
tazkire kitne zabanon par machal kar rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.