raushni ke zaKHm khana kya yahi hai zindagi
raushnī ke zaḳhm khānā kyā yahī hai zindagī
tīrgī meñ dil jalānā kyā yahī hai zindagī
hijr kī rātoñ meñ aksar ehtimām-e-ārzū
ḳhvāb palkoñ par sajānā kyā yahī hai zindagī
hasratoñ kī aag meñ jalnā musalsal ishq meñ
pattharoñ par gul khilānā kyā yahī hai zindagī
sar hathelī par liye ghar se nikalnā roz-o-shab
maut se āñkheñ milānā kyā yahī hai zindagī
be-kasī lāchārgī afsurdagī 'nayyar' kabhī
paas aanā ruuTh jaanā kyā yahī hai zindagī
raushni ke zaKHm khana kya yahi hai zindagi
tirgi mein dil jalana kya yahi hai zindagi
hijr ki raaton mein aksar ehtimam-e-arzu
KHwab palkon par sajaana kya yahi hai zindagi
hasraton ki aag mein jalna musalsal ishq mein
pattharon par gul khilana kya yahi hai zindagi
sar hatheli par liye ghar se nikalna roz-o-shab
maut se aankhen milana kya yahi hai zindagi
be-kasi lachaargi afsurdagi 'nayyar' kabhi
pas aana ruTh jaana kya yahi hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.