raushni ki ashad zarurat hai
raushnī kī ashad zarūrat hai
aap ke paas thoḌī fursat hai
aap se jhuuT kah rahā thā koī
zindagī Dher ḳhūbsūrat hai
ek duuje ko kho diyā ham ne
aur ye ujlat nahīñ himāqat hai
us ke mere visāl meñ haa.il
aur kuchh bhī nahīñ hai ġhurbat hai
aap jaise suḳhan-nigāroñ ko
aa.ina dekhne kī hājat hai
aur kuchh ho na ho tumhāre paas
ek doshīza kī mohabbat hai
aap ko kyā ġharaz hai 'an.am' se
vo mohabbat hai yā musībat hai
raushni ki ashad zarurat hai
aap ke pas thoDi fursat hai
aap se jhuT kah raha tha koi
zindagi Dher KHubsurat hai
ek duje ko kho diya hum ne
aur ye ujlat nahin himaqat hai
us ke mere visal mein hail
aur kuchh bhi nahin hai ghurbat hai
aap jaise suKHan-nigaron ko
aaina dekhne ki hajat hai
aur kuchh ho na ho tumhaare pas
ek doshiza ki mohabbat hai
aap ko kya gharaz hai 'anam' se
wo mohabbat hai ya musibat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.