raushni ko tirgi ka qahr ban kar le gaya
raushnī ko tīrgī kā qahr ban kar le gayā
aañkh meñ mahfūz the jitne bhī manzar le gayā
ajnabī sā lag rahā huuñ aaj apne aap ko
aa.ine ke sāmne maiñ kis kā paikar le gayā
kyuuñ nazar aatī nahīñ ab kaaTī sat.h-e-āb par
khīñch kar naddī ke sar se kaun chādar le gayā
phir huī āmāda-e-paikār peḌoñ se havā
phir koī jhoñkā ka.ī patte uḌā kar le gayā
rokte hī rah ga.e dīvār-o-dar 'āsif' mujhe
maiñ magar chup-chāp ḳhud ko ghar se bāhar le gayā
raushni ko tirgi ka qahr ban kar le gaya
aankh mein mahfuz the jitne bhi manzar le gaya
ajnabi sa lag raha hun aaj apne aap ko
aaine ke samne main kis ka paikar le gaya
kyun nazar aati nahin ab kaTi sath-e-ab par
khinch kar naddi ke sar se kaun chadar le gaya
phir hui aamada-e-paikar peDon se hawa
phir koi jhonka kai patte uDa kar le gaya
rokte hi rah gae diwar-o-dar 'asif' mujhe
main magar chup-chap KHud ko ghar se bahar le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.