raushni kya paDi hai kamre mein
raushnī kyā paḌī hai kamre meñ
dhuul uḌne lagī hai kamre meñ
mujh ko ghere hue hai merā vajūd
ye haqīqat khulī hai kamre meñ
mujh ko bāhar kahīñ nikalnā hai
raat hone lagī hai kamre meñ
apnī sāñsoñ ko sun rahā huuñ maiñ
kis qadar ḳhāmushī hai kamre meñ
ik zarā sā tirā ḳhayāl aayā
raushnī ho ga.ī hai kamre meñ
raushni kya paDi hai kamre mein
dhul uDne lagi hai kamre mein
mujh ko ghere hue hai mera wajud
ye haqiqat khuli hai kamre mein
mujh ko bahar kahin nikalna hai
raat hone lagi hai kamre mein
apni sanson ko sun raha hun main
kis qadar KHamushi hai kamre mein
ek zara sa tera KHayal aaya
raushni ho gai hai kamre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.