raushni laTki hui talwar si
raushnī laTkī huī talvār sī
husn-afzā zindagī ḳhūñ-ḳhvār sī
ḳhushbuoñ kī narm ham-āġhoshiyāñ
darmiyāñ ik āhanī dīvār sī
sāmne sad-rañg nusḳhe, mashvare
zindagī sadiyoñ se kuchh bīmār sī
kaalī āñkhoñ meñ shahābī karvaTeñ
koī ḳhvāhish raat meñ bedār sī
mahv se hote hue aḳhbārī shor
yaad kī aahaT achānak taar sī
ūñghtī sī har taraf bedāriyāñ
aañkh us kī har tarah hushyār sī
dil vahī barbād aur sadiyoñ kī gard
vaqt kī har fat.h bhī be-kār sī
raushni laTki hui talwar si
husn-afza zindagi KHun-KHwar si
KHushbuon ki narm ham-aghoshiyan
darmiyan ek aahani diwar si
samne sad-rang nusKHe, mashware
zindagi sadiyon se kuchh bimar si
kali aankhon mein shahabi karwaTen
koi KHwahish raat mein bedar si
mahw se hote hue aKHbari shor
yaad ki aahaT achanak tar si
unghti si har taraf bedariyan
aankh us ki har tarah hushyar si
dil wahi barbaad aur sadiyon ki gard
waqt ki har fath bhi be-kar si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.