raushni le ke kahin chand kahin taron se
raushnī le ke kahīñ chāñd kahīñ tāroñ se
ham bhī guzre the kabhī vaqt ke bāzāroñ se
zindagī tujh se tire ġham se to inkār nahīñ
haañ magar lazzat-e-ġham chhin ga.ī ġham-ḳhvāroñ se
azmat-e-rafta kī miTtī huī tasvīr haiñ ham
ham ko laTkā.iyē girtī huī dīvāroñ se
is se pahle ki chhiḌe zikr-e-vafā pyaar kī baat
mashvara kar lo zarā vaqt kī sarkāroñ se
chāñd jis vaqt utar aatā hai paimānoñ meñ
mai-kade baat kiyā karte haiñ mai-ḳhvāroñ se
ham ko be-dām bhī bik jaane kā fan aatā hai
baat kahne kī nahīñ hai ye ḳharīdāroñ se
vahī tanhā.ī kī bāteñ haiñ vahī zaat ke ġham
mujh ko shikva hai mire duur ke fankāroñ se
abr-e-rahmat ko liye apnī nazar meñ 'ḳhusrav'
ham bhī to dasht se guzre kabhī kohsāroñ se
raushni le ke kahin chand kahin taron se
hum bhi guzre the kabhi waqt ke bazaron se
zindagi tujh se tere gham se to inkar nahin
han magar lazzat-e-gham chhin gai gham-KHwaron se
azmat-e-rafta ki miTti hui taswir hain hum
hum ko laTkaiyee girti hui diwaron se
is se pahle ki chhiDe zikr-e-wafa pyar ki baat
mashwara kar lo zara waqt ki sarkaron se
chand jis waqt utar aata hai paimanon mein
mai-kade baat kiya karte hain mai-KHwaron se
hum ko be-dam bhi bik jaane ka fan aata hai
baat kahne ki nahin hai ye KHaridaron se
wahi tanhai ki baaten hain wahi zat ke gham
mujh ko shikwa hai mere dur ke fankaron se
abr-e-rahmat ko liye apni nazar mein 'KHusraw'
hum bhi to dasht se guzre kabhi kohsaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.