raushni meri hua chahti hai
raushnī merī huā chāhtī hai
bas vo darvāza khulā chāhtī hai
qatl hone se bachā chāhtī hai
merī tanhā.ī duā chāhtī hai
bel ziddī hai junūñ kī merī
vo lipaTne ko havā chāhtī hai
ghar kā darvāza kabhī khultā nahīñ
phir bhī dahlīz diyā chāhtī hai
merī taḳhlīq ḳhafā hai mujh se
merī pahchān judā chāhtī hai
dil ye chāhe ki maiñ rūThūñ us se
ruuh kyuuñ zabt-e-anā chāhtī hai
kaash gulshan ne ye pūchhā hotā
kaun sā phuul 'sabā' chāhtī hai
raushni meri hua chahti hai
bas wo darwaza khula chahti hai
qatl hone se bacha chahti hai
meri tanhai dua chahti hai
bel ziddi hai junun ki meri
wo lipaTne ko hawa chahti hai
ghar ka darwaza kabhi khulta nahin
phir bhi dahliz diya chahti hai
meri taKHliq KHafa hai mujh se
meri pahchan juda chahti hai
dil ye chahe ki main ruThun us se
ruh kyun zabt-e-ana chahti hai
kash gulshan ne ye puchha hota
kaun sa phul 'saba' chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.