raushni mujhse gurezan hai to shikwa bhi nahin
raushnī mujh se gurezāñ hai to shikva bhī nahīñ
mere ġham-ḳhāne meñ kuchh aisā añdherā bhī nahīñ
pursish-e-hāl kī fursat tumheñ mumkin hai na ho
pursish-e-hāl tabī'at ko gavārā bhī nahīñ
yuuñ sar-e-rāh mulāqāt huī hai aksar
tum ne dekhā bhī nahīñ ham ne pukārā bhī nahīñ
‘arz-e-ahvāl kī 'ādat bhī nahīñ hai ham ko
aur hālāt kā shāyad ye taqāzā bhī nahīñ
be-niyāzāna guzar jaa.e guzarne vaalā
mere pindār ko ab shauq-e-tamāshā bhī nahīñ
haath phailā.ūñ maiñ ‘īsā-nafasoñ ke aage
dard pahlū meñ mire hai magar itnā bhī nahīñ
ik shikan māthe pe dekhī thī tumhāre ham ne
phir kabhī aañkh uThā kar tumheñ dekhā bhī nahīñ
āḳhirī baar hañsī aa.ī thī kab yaad nahīñ
aur phir aa.e hañsī is kī tamanna bhī nahīñ
mere hālāt na badle to na badleñ 'iqbāl'
mujh ko hālāt pe kuchh aisā bharosa bhī nahīñ
raushni mujh se gurezan hai to shikwa bhi nahin
mere gham-KHane mein kuchh aisa andhera bhi nahin
pursish-e-haal ki fursat tumhein mumkin hai na ho
pursish-e-haal tabi'at ko gawara bhi nahin
yun sar-e-rah mulaqat hui hai aksar
tum ne dekha bhi nahin hum ne pukara bhi nahin
‘arz-e-ahwal ki 'adat bhi nahin hai hum ko
aur haalat ka shayad ye taqaza bhi nahin
be-niyazana guzar jae guzarne wala
mere pindar ko ab shauq-e-tamasha bhi nahin
hath phailaun main ‘isa-nafason ke aage
dard pahlu mein mere hai magar itna bhi nahin
ek shikan mathe pe dekhi thi tumhaare hum ne
phir kabhi aankh uTha kar tumhein dekha bhi nahin
aaKHiri bar hansi aai thi kab yaad nahin
aur phir aae hansi is ki tamanna bhi nahin
mere haalat na badle to na badlen 'iqbaal'
mujh ko haalat pe kuchh aisa bharosa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.