aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya

Azad Gulati

raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya

Azad Gulati

MORE BYAzad Gulati

    raushnī phailī to sab rañg kaalā ho gayā

    kuchh diye aise jale har-sū añdherā ho gayā

    jis ne merā saath chhoḌā aur kisī ho gayā

    sach to ye hai mujh se bhī baḌh kar vo tanhā ho gayā

    vaqt ye moḌ kaisā hai ki tujh se mil ke bhī

    tujh ko kho dene ġham kuchh aur gahrā ho gayā

    ham ne tanhā.ī chādar taan aur so ga.e

    log jab kahne lage uTTho saverā ho gayā

    Dūbtā sūraj huuñ maiñ vo merā saayā dekh kar

    sochtā ye hai qad us mujh se lambā ho gayā

    chand lamhe the jo barsoñ ba.ad tak biite nahīñ

    kuchh baras vo bhī the jin ek lamha ho gayā

    jab zabāñ kholī to sab ko niiñd aane lagī

    chup hue to yuuñ lagā har shaḳhs bahrā ho gayā

    saath us chhoḌ kar aa.e to ye aalam rahā

    ham ne jis chehre ko dekhā us chehra ho gayā

    is ta.alluq ko bhalā 'āzād' maiñ kyā naam duuñ

    vo kisī ho ke bhī kuchh aur merā ho gayā

    raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya

    kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya

    jis ne mera sath chhoDa aur kisi ka ho gaya

    sach to ye hai mujh se bhi baDh kar wo tanha ho gaya

    waqt ka ye moD kaisa hai ki tujh se mil ke bhi

    tujh ko kho dene ka gham kuchh aur gahra ho gaya

    hum ne tanhai ki chadar tan li aur so gae

    log jab kahne lage uTTho sawera ho gaya

    Dubta suraj hun main wo mera saya dekh kar

    sochta ye hai qad us ka mujh se lamba ho gaya

    chand lamhe the jo barson baad tak bite nahin

    kuchh baras wo bhi the jin ka ek lamha ho gaya

    jab zaban kholi to sab ko nind si aane lagi

    chup hue to yun laga har shaKHs bahra ho gaya

    sath us ka chhoD kar aae to ye aalam raha

    hum ne jis chehre ko dekha us ka chehra ho gaya

    is talluq ko bhala 'azad' main kya nam dun

    wo kisi ka ho ke bhi kuchh aur mera ho gaya

    Source:

    Dasht-e-Sada (Pg. 55)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now