Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raushni se tirgi tabir kar di jaegi

Sarwar Arman

raushni se tirgi tabir kar di jaegi

Sarwar Arman

MORE BYSarwar Arman

    raushnī se tīrgī ta.abīr kar jā.egī

    rañg se mahrūm har tasvīr kar jā.egī

    adl ke me.aar meñ aa jā.eñgī tabdīliyāñ

    be-gunāhī lā.eq-e-tāzīr kar jā.egī

    har nazar ko ārzūoñ samundar baḳhsh kar

    har zabāñ par tishnagī tahrīr kar jā.egī

    dab ke rah jā.eñge jazboñ ke ujāle ek din

    zulmat-e-iflās ālamgīr kar jā.egī

    har kalā.ī har tamannā har haqīqat har vafā

    āshnā-e-halqa-e-zanjīr kar jā.egī

    bāñjh ho kar rah gayā jis vaqt dhartī badan

    tab hamāre naam ye jāgīr kar jā.egī

    dafn kar ke is buniyādoñ meñ insānoñ ke sar

    ik mohazzab shahr ta.amīr kar jā.egī

    raushni se tirgi tabir kar di jaegi

    rang se mahrum har taswir kar di jaegi

    adl ke mear mein aa jaengi tabdiliyan

    be-gunahi laeq-e-tazir kar di jaegi

    har nazar ko aarzuon ka samundar baKHsh kar

    har zaban par tishnagi tahrir kar di jaegi

    dab ke rah jaenge jazbon ke ujale ek din

    zulmat-e-iflas aalamgir kar di jaegi

    har kalai har tamanna har haqiqat har wafa

    aashna-e-halqa-e-zanjir kar di jaegi

    banjh ho kar rah gaya jis waqt dharti ka badan

    tab hamare nam ye jagir kar di jaegi

    dafn kar ke is ki buniyaadon mein insanon ke sar

    ek mohazzab shahr ki tamir kar di jaegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now