raushni thi tum the ya KHud mera saya kaun tha
raushni thi tum the ya KHud mera saya kaun tha
Raghunandan Sharma Danish
MORE BYRaghunandan Sharma Danish
raushnī thī tum the yā ḳhud merā saayā kaun thā
roz mere ḳhvāb meñ aa kar bikhartā kaun thā
vo to raġhbat ho ga.ī hai nāḳhudā tujh se mujhe
varna terī kashtiyoñ meñ aatā jaatā kaun thā
maan luuñ terī ki maiñ ik sang-dil huuñ par batā
ban ke aañsū ye mire andar pighaltā kaun thā
shor sā uTThā thā mujh meñ ḳhāmushī ke bāvajūd
mere andar ai ḳhudā mere 'alāva kaun thā
mujh se pahle kis ko merī manzileñ hāsil huiiñ
dekhnā hai mere pīchhe pīchhe chaltā kaun thā
raushni thi tum the ya KHud mera saya kaun tha
roz mere KHwab mein aa kar bikharta kaun tha
wo to raghbat ho gai hai naKHuda tujh se mujhe
warna teri kashtiyon mein aata jata kaun tha
man lun teri ki main ek sang-dil hun par bata
ban ke aansu ye mere andar pighalta kaun tha
shor sa uTTha tha mujh mein KHamushi ke bawajud
mere andar ai KHuda mere 'alawa kaun tha
mujh se pahle kis ko meri manzilen hasil huin
dekhna hai mere pichhe pichhe chalta kaun tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.