raushnī vaale to duniyā dekheñ
ham añdhere ke sivā kyā dekheñ
apnī qismat meñ bhī kuchh hai ki nahīñ
ab zarā haath to phailā dekheñ
tū kabhī sub.h kā taarā ban jaa.e
ham tujhe duur se tanhā dekheñ
aag paanī meñ agar jañg huī
kis taraf aadmī hogā dekheñ
jaan se haath na dho.e jaa.eñ
aur bahtā huā dariyā dekheñ
kis ke āñgan ko ujālā baḳhshe
'rām' TuuTā huā taarā dekheñ
raushni wale to duniya dekhen
hum andhere ke siwa kya dekhen
apni qismat mein bhi kuchh hai ki nahin
ab zara hath to phaila dekhen
tu kabhi subh ka tara ban jae
hum tujhe dur se tanha dekhen
aag pani mein agar jang hui
kis taraf aadmi hoga dekhen
jaan se hath na dhoe jaen
aur bahta hua dariya dekhen
kis ke aangan ko ujala baKHshe
'ram' TuTa hua tara dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.