raushni wale wasile ki lagi rahti hai
raushnī vaale vasīle kī lagī rahtī hai
bas añdhere ko miTāne kī lagī rahtī hai
vo jo gauhar hai samundar meñ utar jaatā hai
sirf siipī ko kināre kī lagī rahtī hai
aañkh vāloñ meñ basārat kī kamī hai shāyad
jab hī andhoñ ko dikhāve kī lagī rahtī hai
phir kisī naqsh-e-kaf-e-pā ko miTāne ke liye
raah ko ḳhaak uḌāne kī lagī rahtī hai
zard mausam meñ gulāboñ kī tamanna kar lī
jis tarah dhuup meñ saa.e kī lagī rahtī hai
ḳhvāb buntī thiiñ magar āñkhoñ ko ab shaam Dhale
dar kī dastak kī darīche kī lagī rahtī hai
dhūp-mausam meñ baras jaatī hai bārish aksar
us ko ḳhushiyoñ meñ bhī rone kī lagī rahtī hai
phir tavajjoh nahīñ jaatī tirī ḳhafgī kī taraf
āñsuoñ ko tire shāne kī lagī rahtī hai
raushni wale wasile ki lagi rahti hai
bas andhere ko miTane ki lagi rahti hai
wo jo gauhar hai samundar mein utar jata hai
sirf sipi ko kinare ki lagi rahti hai
aankh walon mein basarat ki kami hai shayad
jab hi andhon ko dikhawe ki lagi rahti hai
phir kisi naqsh-e-kaf-e-pa ko miTane ke liye
rah ko KHak uDane ki lagi rahti hai
zard mausam mein gulabon ki tamanna kar li
jis tarah dhup mein sae ki lagi rahti hai
KHwab bunti thin magar aankhon ko ab sham Dhale
dar ki dastak ki dariche ki lagi rahti hai
dhup-mausam mein baras jati hai barish aksar
us ko KHushiyon mein bhi rone ki lagi rahti hai
phir tawajjoh nahin jati teri KHafgi ki taraf
aansuon ko tere shane ki lagi rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.