raushniyon se bhar diya hai mujhe
raushniyoñ se bhar diyā hai mujhe
us ne ḳhud jaisā kar diyā hai mujhe
aañkh jhapkūñ to kāñptā hai dil
niiñd ne aisā Dar diyā hai mujhe
mujh se ummīd hai bhalā.ī kī
aur ḳhud tū ne shar diyā hai mujhe
aap se pahle yuuñ nahīñ thā maiñ
aap ne jaisā kar diyā hai mujhe
yuuñ kiyā ham ko lāzim-o-malzūm
sang us ko to sar diyā hai mujhe
kyā tavāzun uḌaan meñ rakkhūñ
us ne bas ek par diyā hai mujhe
in darindoñ meñ rakhne kā matlab
us ne āzād kar diyā hai mujhe
kyā ajab dī hai be-ruḳhī kī sazā
us ne chaukhaT pe dhar diyā hai mujhe
raushniyon se bhar diya hai mujhe
us ne KHud jaisa kar diya hai mujhe
aankh jhapkun to kanpta hai dil
nind ne aisa Dar diya hai mujhe
mujh se ummid hai bhalai ki
aur KHud tu ne shar diya hai mujhe
aap se pahle yun nahin tha main
aap ne jaisa kar diya hai mujhe
yun kiya hum ko lazim-o-malzum
sang us ko to sar diya hai mujhe
kya tawazun uDan mein rakkhun
us ne bas ek par diya hai mujhe
in darindon mein rakhne ka matlab
us ne aazad kar diya hai mujhe
kya ajab di hai be-ruKHi ki saza
us ne chaukhaT pe dhar diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.