rawa nahin hai agar ye to narawa bhi nahin
ravā nahīñ hai agar ye to nāravā bhī nahīñ
ki arz-e-shauq se tauhīn-e-mudda.ā bhī nahīñ
junūñ ko ishq kī me.arāj jānñe vaale
ye intihā to mohabbat kī ibtidā bhī nahīñ
kahāñ ye thā ki tire markaz-e-nazar the hamīñ
kahāñ ye hai ki sazā-vār-e-e'tinā bhī nahīñ
karam na thā to taraste the ham jafā ke liye
karam huā to mazālim kī intihā bhī nahīñ
tū hī batā ki tire dar se uTh ke jaa.eñ kahāñ
tire sivā to hameñ koī aasrā bhī nahīñ
rawa nahin hai agar ye to narawa bhi nahin
ki arz-e-shauq se tauhin-e-muddaa bhi nahin
junun ko ishq ki mearaj jaanne wale
ye intiha to mohabbat ki ibtida bhi nahin
kahan ye tha ki tere markaz-e-nazar the hamin
kahan ye hai ki saza-war-e-e'tina bhi nahin
karam na tha to taraste the hum jafa ke liye
karam hua to mazalim ki intiha bhi nahin
tu hi bata ki tere dar se uTh ke jaen kahan
tere siwa to hamein koi aasra bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.