rawan-dawan hai rah-e-taKHayyul jahan KHam-e-zulf ke qarin se
rawan-dawan hai rah-e-taKHayyul jahan KHam-e-zulf ke qarin se
Takht Singh
MORE BYTakht Singh
ravāñ-davāñ hai rah-e-taḳhayyul jahāñ ḳham-e-zulf ke qarīñ se
nazar ke dāman tak aa chalī hai lapaT ghanī chhāñv kī vahīñ se
tulūa shāyad hue haiñ sapnoñ ke an-ginat chāñd shāḳh-e-dil par
ki mauj-dar-mauj chāñdnī bah rahī hai ehsās kī jabīñ se
kuchh is tarah nuur phuuT niklā hai zarre-zarre se aarzū kā
maiñ jhāñktā huuñ falak kī āñkhoñ meñ jhuum kar vus.at-e-zamīñ se
rachā liyā hai vajūd terā yahīñ kahīñ dhyān ke ḳhalaf maiñ
ki mahkā mahkā dhuāñ sā palkoñ kā uTh rahā hai yahīñ kahīñ se
na jaane laa.e haiñ kitne asrār rang-o-bū ke nafas-nafas meñ
tirī judā.ī ke pal jo āvāze de rahe haiñ dil-e-hazīñ se
duā.eñ de ai samay kī maayā mirī ḳhud-āgāhiyoñ kī jaañ ko
ki pau phaTī hai karishma-e-shash-jihat ke irfān kī yahīñ se
rawan-dawan hai rah-e-taKHayyul jahan KHam-e-zulf ke qarin se
nazar ke daman tak aa chali hai lapaT ghani chhanw ki wahin se
tulua shayad hue hain sapnon ke an-ginat chand shaKH-e-dil par
ki mauj-dar-mauj chandni bah rahi hai ehsas ki jabin se
kuchh is tarah nur phuT nikla hai zarre-zarre se aarzu ka
main jhankta hun falak ki aankhon mein jhum kar wusat-e-zamin se
racha liya hai wajud tera yahin kahin dhyan ke KHalaf main
ki mahka mahka dhuan sa palkon ka uTh raha hai yahin kahin se
na jaane lae hain kitne asrar rang-o-bu ke nafas-nafas mein
teri judai ke pal jo aawaze de rahe hain dil-e-hazin se
duaen de ai samay ki maya meri KHud-agahiyon ki jaan ko
ki pau phaTi hai karishma-e-shash-jihat ke irfan ki yahin se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.