rawan hai mauj-e-fana jism o jaan utar mujhe
ravāñ hai mauj-e-fanā jism o jaañ utaar mujhe
utaar ab ke sar-e-āsmāñ utaar mujhe
mirā vajūd samundar ke iztirāb meñ hai
ki khul rahā hai tirā bādbāñ utaar mujhe
bahut aziiz huuñ ḳhārān-e-tāza-kār ko maiñ
bahut udaas hai dasht-e-javāñ utaar mujhe
koī jazīra jahāñ hast-o-būd ho na fanā
vajūd ho na zamāna vahāñ utaar mujhe
rawan hai mauj-e-fana jism o jaan utar mujhe
utar ab ke sar-e-asman utar mujhe
mera wajud samundar ke iztirab mein hai
ki khul raha hai tera baadban utar mujhe
bahut aziz hun KHaran-e-taza-kar ko main
bahut udas hai dasht-e-jawan utar mujhe
koi jazira jahan hast-o-bud ho na fana
wajud ho na zamana wahan utar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.