rawan hai nur ka ek sail har-bun-e-mu se
ravāñ hai nuur kā ik sail har-bun-e-mū se
mujhe chhuā hai kisī ne hazār pahlū se
badal ke rakh diyā jañgal ko shahr meñ us ne
tamām dasht pareshāñ hai ek aahū se
ḳhudā ke vāste ab rok bhī ye raqs-e-junūñ
sadā kuchh aur hī aane lagī hai ghuñghrū se
unheñ maiñ vaqt ke kāñdhe pe Daal detā huuñ
jo bojh uThte nahīñ mere dast o baazū se
har ek ahd ne likkhā hai apnā nāma-e-shauq
kisī ne ḳhuuñ se likhā hai kisī ne aañsū se
mirā savāl ġhazal ke muḳhālifīn se hai
mujhe nikal ke dikhā deñ ġhazal ke jaadū se
rawan hai nur ka ek sail har-bun-e-mu se
mujhe chhua hai kisi ne hazar pahlu se
badal ke rakh diya jangal ko shahr mein us ne
tamam dasht pareshan hai ek aahu se
KHuda ke waste ab rok bhi ye raqs-e-junun
sada kuchh aur hi aane lagi hai ghunghru se
unhen main waqt ke kandhe pe Dal deta hun
jo bojh uThte nahin mere dast o bazu se
har ek ahd ne likkha hai apna nama-e-shauq
kisi ne KHun se likha hai kisi ne aansu se
mera sawal ghazal ke muKHalifin se hai
mujhe nikal ke dikha den ghazal ke jadu se
- Book : Jahaan Gard (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.