rawan rawan tha jab tera KHayal bhi
ravāñ ravāñ thā jab terā ḳhayāl bhī
to dil se pūchhe ham ne kuchh savāl bhī
havā hī tere shahar kī ajiib thī
bichhaḌne kā na thā koī malāl bhī
vo saath ho to sūjhtā na aur kuchh
hasīn kaifiyat meñ biite saal bhī
raqābatoñ ko samjhe ham rifāqateñ
likhā thā hāthoñ apne hī zavāl bhī
vo kahtā hai hathelī chuum kar merī
kisī lakīr meñ to ho visāl bhī
savāl ishq se hī pūchhne lage
hai bevafā.ī kā aisā vabāl bhī
liye haiñ bose ham ne tere naam ke
vo pahle ishq kā dekhā kamāl bhī
rawan rawan tha jab tera KHayal bhi
to dil se puchhe hum ne kuchh sawal bhi
hawa hi tere shahar ki ajib thi
bichhaDne ka na tha koi malal bhi
wo sath ho to sujhta na aur kuchh
hasin kaifiyat mein bite sal bhi
raqabaton ko samjhe hum rifaqaten
likha tha hathon apne hi zawal bhi
wo kahta hai hatheli chum kar meri
kisi lakir mein to ho visal bhi
sawal ishq se hi puchhne lage
hai bewafai ka aisa wabaal bhi
liye hain bose hum ne tere nam ke
wo pahle ishq ka dekha kamal bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.