rawayya dekh kar un ka to hum nashad ho baiThe
rawayya dekh kar un ka to hum nashad ho baiThe
Abu Hurrairah Abbasi
MORE BYAbu Hurrairah Abbasi
ravayya dekh kar un kā to ham nāshād ho baiThe
bhalā lahje se vo kyoñ nashtar-e-fassād ho baiThe
zamāne bhar meñ apne naam kā Dankā bhī bajtā thā
par ujḌe yuuñ ki ham to sūrat-e-baġhdād ho baiThe
kahā farhād ne apnī murīdī meñ mujhe le leñ
sunā kar qissa-e-ġham murshid-e-farhād ho baiThe
'imārat apne ḳhvāboñ kī banāne kā kiyā āġhāz
to ḳhud ham iiñT ban baiThe ḳhudī buniyād ho baiThe
ga.e vaqtoñ meñ aisā thā yahāñ kuchh kam shikārī the
na.e vaqtoñ meñ dekho to sabhī sayyād ho baiThe
yahāñ par kaun zinda ab rakhe apnī rivāyat ko
yahāñ par log jo mādar-pidar-āzād ho baiThe
jinheñ thā 'ishq se matlab vo suulī chaḌh ga.e āḳhir
jinheñ daulat se matlab thā vo sab shaddād ho baiThe
asar be-mausamī tūfān kā gulshan pe gahrā hai
kabhī jo phuul hote the vo ab faulād ho baiThe
kabhī ġhaltī se jo misra' milā lete haiñ aksar vo
samajhte haiñ ki ab ham 'mīr' ke ustād ho baiThe
kaseñ 'iqbāl' par bolī kareñ bāteñ 'ġhazālī' par
bilā-tahqīq hī ye sab yahāñ naqqād ho baiThe
rawayya dekh kar un ka to hum nashad ho baiThe
bhala lahje se wo kyon nashtar-e-fassad ho baiThe
zamane bhar mein apne nam ka Danka bhi bajta tha
par ujDe yun ki hum to surat-e-baghdad ho baiThe
kaha farhad ne apni muridi mein mujhe le len
suna kar qissa-e-gham murshid-e-farhad ho baiThe
'imarat apne KHwabon ki banane ka kiya aaghaz
to KHud hum inT ban baiThe KHudi buniyaad ho baiThe
gae waqton mein aisa tha yahan kuchh kam shikari the
nae waqton mein dekho to sabhi sayyaad ho baiThe
yahan par kaun zinda ab rakhe apni riwayat ko
yahan par log jo madar-pidar-azad ho baiThe
jinhen tha 'ishq se matlab wo suli chaDh gae aaKHir
jinhen daulat se matlab tha wo sab shaddad ho baiThe
asar be-mausami tufan ka gulshan pe gahra hai
kabhi jo phul hote the wo ab faulad ho baiThe
kabhi ghalti se jo misra' mila lete hain aksar wo
samajhte hain ki ab hum 'mir' ke ustad ho baiThe
kasen 'iqbaal' par boli karen baaten 'ghazali' par
bila-tahqiq hi ye sab yahan naqqad ho baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.