rawish-e-kar-e-mohabbat ke sabab jaanta hun
ravish-e-kār-e-mohabbat ke sabab jāntā huuñ
kis ta.āqub meñ haiñ ahbāb maiñ sab jāntā huuñ
jā-ba-jā ghar meñ ye khodī huī miTTī hai subūt
kis ko kitnī hai ḳhazāne kī talab jāntā huuñ
maiñ ne roġhan kī tijārat to nahīñ kī lekin
shahr ke saare charāġhoñ ke nasab jāntā huuñ
mujh ko aatā hai sitāroñ kī likhāvaT paḌhnā
harf-dar-harf tirā nāma-e-shab jāntā huuñ
kyā karūñ aur samajh kar ki tire baare meñ
jitnā ma.alūm hai utnā bhī maiñ kab jāntā huuñ
laakh nā-vāqif-e-urdu huuñ magar ai nāqid
guftugū kar sakūñ itnā to adab jāntā huuñ
rawish-e-kar-e-mohabbat ke sabab jaanta hun
kis taaqub mein hain ahbab main sab jaanta hun
ja-ba-ja ghar mein ye khodi hui miTTi hai subut
kis ko kitni hai KHazane ki talab jaanta hun
main ne roghan ki tijarat to nahin ki lekin
shahr ke sare charaghon ke nasab jaanta hun
mujh ko aata hai sitaron ki likhawaT paDhna
harf-dar-harf tera nama-e-shab jaanta hun
kya karun aur samajh kar ki tere bare mein
jitna malum hai utna bhi main kab jaanta hun
lakh na-waqif-e-urdu hun magar ai naqid
guftugu kar sakun itna to adab jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.