rawish-e-sada-bayani meri
ravish-e-sāda-bayānī merī
hai ye teġh-e-safhānī merī
nā-shanāsā ko na aa.e bāvar
dāstāñ us kī zabānī merī
merī hastī hai mumayyaz ba-adam
be-nishānī hai nishānī merī
raḳhna-gar hai mirī āzādī meñ
havas-e-bāl fishānī merī
sabaq-e-jahl kī takrār pe ab
munhasir hai hama-dānī merī
dostī vaz.a-e-tan-āsānī kī
ban ga.ī dushman-e-jānī merī
ḳhātma hai mirī tamhīd meñ darj
hai dil-āvez kahānī merī
zīrakī dām-e-fareb-e-dil hai
hai tahayyur nigarānī merī
dil ho saaqī lab-e-dariyā sāġhar
sahl hai pyaas bujhānī merī
sub.h-e-tiflī hai buḌhāpā merā
shām-e-pīrī thī javānī merī
ek chakkar hai ba-shakl-e-gardāb
band-barpā hai ravānī merī
vaj.h baaqī mire ma.anī ko samajh
sūrat albatta hai faanī merī
bazm-e-kasrat kā tamāshā.ī huuñ
vahdat-e-sarf hai baanī merī
rawish-e-sada-bayani meri
hai ye tegh-e-safhani meri
na-shanasa ko na aae bawar
dastan us ki zabani meri
meri hasti hai mumayyaz ba-adam
be-nishani hai nishani meri
raKHna-gar hai meri aazadi mein
hawas-e-baal fishani meri
sabaq-e-jahl ki takrar pe ab
munhasir hai hama-dani meri
dosti waza-e-tan-asani ki
ban gai dushman-e-jaani meri
KHatma hai meri tamhid mein darj
hai dil-awez kahani meri
ziraki dam-e-fareb-e-dil hai
hai tahayyur nigarani meri
dil ho saqi lab-e-dariya saghar
sahl hai pyas bujhani meri
subh-e-tifli hai buDhapa mera
sham-e-piri thi jawani meri
ek chakkar hai ba-shakl-e-gardab
band-barpa hai rawani meri
wajh baqi mere mani ko samajh
surat albatta hai fani meri
bazm-e-kasrat ka tamashai hun
wahdat-e-sarf hai bani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.