rawish rawish par junun ke aage KHirad ke zalim maqam kab tak
rawish rawish par junun ke aage KHirad ke zalim maqam kab tak
Manzoor Husain shor
MORE BYManzoor Husain shor
ravish ravish par junūñ ke aage ḳhirad ke zālim maqām kab tak
jhukī jhukī sī nazar kahāñ tak rukā rukā sā ḳhirām kab tak
ye ehtiyāt-e-karam kahāñ tak ye zahmat-e-gām-gām kab tak
nafas nafas meñ payām kab tak nazar nazar meñ salām kab tak
ye bandagī hai to bandagī kā fareb rusvā-e-ām kab tak
laboñ pe sub.heñ to haiñ musallam magar ye sīnoñ meñ shaam tak
rukī sī aaheñ jhukī nigāheñ vahī haqīqat vahī fasāna
sukūt terā sukūt kab tak kalām terā kalām kab tak
tire kināre na tere dhāre tirī halākat nahīñ to kyā hai
tire safīnoñ se sāhiloñ par ye mauj kā intiqām kab tak
yahī jamāl-e-gul-o-suḳhan hai to aa chaman se dhuāñ uThāveñ
ravish ravish par bichhe raheñge ye lāla-o-gul ke daam kab tak
na dosh-e-tūfāñ na āshiyāna na bijliyoñ par kamand terī
yahī chaman hai to is chaman meñ tire nasheman kā naam kab tak
na nuur terā na aag terī rabāb TuuTe sharāb chhūTī
ye zulmat-e-anjuman kahāñ tak ye tohmat-e-jām-jām kab tak
agar na barham hoñ ahl-e-mahfil to ahl-e-mahfil se 'shor' pūchhūñ
koī batā de ki mere hoñToñ pe us kā naġhma harām kab tak
rawish rawish par junun ke aage KHirad ke zalim maqam kab tak
jhuki jhuki si nazar kahan tak ruka ruka sa KHiram kab tak
ye ehtiyat-e-karam kahan tak ye zahmat-e-gam-gam kab tak
nafas nafas mein payam kab tak nazar nazar mein salam kab tak
ye bandagi hai to bandagi ka fareb ruswa-e-am kab tak
labon pe subhen to hain musallam magar ye sinon mein sham tak
ruki si aahen jhuki nigahen wahi haqiqat wahi fasana
sukut tera sukut kab tak kalam tera kalam kab tak
tere kinare na tere dhaare teri halakat nahin to kya hai
tere safinon se sahilon par ye mauj ka intiqam kab tak
yahi jamal-e-gul-o-suKHan hai to aa chaman se dhuan uThawen
rawish rawish par bichhe rahenge ye lala-o-gul ke dam kab tak
na dosh-e-tufan na aashiyana na bijliyon par kamand teri
yahi chaman hai to is chaman mein tere nasheman ka nam kab tak
na nur tera na aag teri rabab TuTe sharab chhuTi
ye zulmat-e-anjuman kahan tak ye tohmat-e-jam-jam kab tak
agar na barham hon ahl-e-mahfil to ahl-e-mahfil se 'shor' puchhun
koi bata de ki mere honTon pe us ka naghma haram kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.