rawish rawish pe jawani ke tajdar aae
ravish ravish pe javānī ke tājdār aa.e
junūñ ke qāfile vābasta-e-bahār aa.e
vo raat jis kā baḌā intizār thā dil ko
vo raat dard ke pahlū meñ ham guzār aa.e
milā javāb haram se na but-kade se kahīñ
galī galī meñ tire naam ko pukār aa.e
ḳhudā kare mirī rātoñ meñ kā.enāt-e-jamāl
ga.ī bahār ko le kar hazār baar aa.e
kisī kī yaad ke jalvoñ ke be-qarār hujūm
ufuq se chāñd jo ubhrā to ashk-bār aa.e
jo hone vaalā hai ho kar rahegā 'mīr' āḳhir
magar majāl hai dil ko kahīñ qarār aa.e
rawish rawish pe jawani ke tajdar aae
junun ke qafile wabasta-e-bahaar aae
wo raat jis ka baDa intizar tha dil ko
wo raat dard ke pahlu mein hum guzar aae
mila jawab haram se na but-kade se kahin
gali gali mein tere nam ko pukar aae
KHuda kare meri raaton mein kaenat-e-jamal
gai bahaar ko le kar hazar bar aae
kisi ki yaad ke jalwon ke be-qarar hujum
ufuq se chand jo ubhra to ashk-bar aae
jo hone wala hai ho kar rahega 'mir' aaKHir
magar majal hai dil ko kahin qarar aae
- Book : Shora-e-London (Pg. 166)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.