rawish rawish pe phul khilate gulzaron ki baat karen
ravish ravish pe phuul khilāte gulzāroñ kī baat kareñ
chhoḌ ga.e jo tanhā ham ko in pyāroñ kī baat kareñ
sard-ravī ke jhoñke tan ko chhed rahe haiñ muddat se
aao naañ mil kar darvāzoñ se dīvāroñ kī baat kareñ
ḳhāk-nashīnī Thiik hai lekin kabhī kabhī dil kartā hai
duur fazā meñ uḌte jaa.eñ kohsāroñ kī baat kareñ
us din soch hinā.ī hogī us din rādhā nāchegī
bechāre jab mil kar saare bechāroñ kī baat kareñ
sūraj jā kar chhup jaatā hai dhan vāloñ kī jholī meñ
aao naañ mil kar jugnū bāñTeñ añdhiyāroñ kī baat kareñ
dekh 'samīna' 'sayyad' kaise vaqt ne karvaT badlī hai
sar kī bāteñ karne vaale dastāroñ kī baat kareñ
rawish rawish pe phul khilate gulzaron ki baat karen
chhoD gae jo tanha hum ko in pyaron ki baat karen
sard-rawi ke jhonke tan ko chhed rahe hain muddat se
aao nan mil kar darwazon se diwaron ki baat karen
KHak-nashini Thik hai lekin kabhi kabhi dil karta hai
dur faza mein uDte jaen kohsaron ki baat karen
us din soch hinai hogi us din radha nachegi
bechaare jab mil kar sare bechaaron ki baat karen
suraj ja kar chhup jata hai dhan walon ki jholi mein
aao nan mil kar jugnu banTen andhiyaron ki baat karen
dekh 'samina' 'sayyad' kaise waqt ne karwaT badli hai
sar ki baaten karne wale dastaron ki baat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.