rawish rawish pe use gulsitan mein phul mile
ravish ravish pe use gulsitāñ meñ phuul mile
magar mujhe to har ik gaam par babūl mile
ḳhudā ke naam pe karte haiñ gumrahī paidā
jahāñ meñ aise bhī kuchh nā.eb-e-rasūl mile
hayāt-e-shauq chamak jaa.e kahkashāñ kī tarah
agar jabīñ ko tire āstāñ kī dhuul mile
nisār jā.iye is ehtimām-e-gulshan ke
qadam qadam pe jahāñ ḳhaar ban ke phuul mile
rahe hamesha mujhe apnī jaan se bhī aziiz
rah-e-hayāt meñ aise bhī kuchh usuul mile
na pūchh maktab-e-dīvāngī kā faiz 'kamāl'
jo mashvare bhī mile qābil-e-qubull mile
rawish rawish pe use gulsitan mein phul mile
magar mujhe to har ek gam par babul mile
KHuda ke nam pe karte hain gumrahi paida
jahan mein aise bhi kuchh naeb-e-rasul mile
hayat-e-shauq chamak jae kahkashan ki tarah
agar jabin ko tere aastan ki dhul mile
nisar jaiye is ehtimam-e-gulshan ke
qadam qadam pe jahan KHar ban ke phul mile
rahe hamesha mujhe apni jaan se bhi aziz
rah-e-hayat mein aise bhi kuchh usul mile
na puchh maktab-e-diwangi ka faiz 'kamal'
jo mashware bhi mile qabil-e-qubull mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.