rawish-rawish se numudar ho gai koi yaad
ravish-ravish se numūdār ho ga.ī koī yaad
ki gaahe ġham gahe ġham-ḳhvār ho ga.ī koī yaad
kahīñ se mere ḳhilāf uTh gayā koī manzar
kahīñ se terī taraf-dār ho ga.ī koī yaad
udhar to kāġhazī phūloñ ko paanī detā rahā
idhar gulāb se talvār ho ga.ī koī yaad
ajab mazāq hai ya.anī mire pe sau durre
girā maiñ thak ke to hushiyār ho ga.ī koī yaad
maiñ DhūñDhtā thā to poshīda ho ga.ī koī shakl
maiñ so rahā thā to bedār ho ga.ī koī yaad
magar hayāt kā malba uThānā paḌtā hai
so chārasāz-e-ġham-e-yār ho ga.ī koī yaad
rawish-rawish se numudar ho gai koi yaad
ki gahe gham gahe gham-KHwar ho gai koi yaad
kahin se mere KHilaf uTh gaya koi manzar
kahin se teri taraf-dar ho gai koi yaad
udhar to kaghazi phulon ko pani deta raha
idhar gulab se talwar ho gai koi yaad
ajab mazaq hai yani mere pe sau durre
gira main thak ke to hushiyar ho gai koi yaad
main DhunDhta tha to poshida ho gai koi shakl
main so raha tha to bedar ho gai koi yaad
magar hayat ka malba uThana paDta hai
so chaarasaz-e-gham-e-yar ho gai koi yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.