razakaran-e-ishq imdad karna
razākārān-e-ishq imdād karnā
hameñ ḳhud ko hai ḳhud barbād karnā
ḳhudā.ī par hukūmat chāhte ho
to pahle ik ḳhudā ījād karnā
kabhī mashriq ko maġhrib se badalnā
kabhī shīrīñ ko bhī farhād karnā
mileñge ishq kī buniyād par ham
magar tum bāteñ be-buniyād karnā
mujhe sahrā meñ aa ke yaad aayā
baḌā mushkil hai ghar ābād karnā
diyā huuñ aur mujhe aatā nahīñ hai
havā ke sāmne fariyād karnā
mohabbat jab kabhī bhī karnā 'ḳhālid'
janāb-e-qais ko ustād karnā
razakaran-e-ishq imdad karna
hamein KHud ko hai KHud barbaad karna
KHudai par hukumat chahte ho
to pahle ek KHuda ijad karna
kabhi mashriq ko maghrib se badalna
kabhi shirin ko bhi farhad karna
milenge ishq ki buniyaad par hum
magar tum baaten be-buniyaad karna
mujhe sahra mein aa ke yaad aaya
baDa mushkil hai ghar aabaad karna
diya hun aur mujhe aata nahin hai
hawa ke samne fariyaad karna
mohabbat jab kabhi bhi karna 'KHalid'
janab-e-qais ko ustad karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.