reaya de rahi thi shauq se begar jismon ki
re.āyā de rahī thī shauq se begār jismoñ kī
yahī taqdīr hai aaqā yahāñ nādār jismoñ kī
girā Dālegī tujh pe āsmāñ jo sarsarāhaT hai
tumhāre paañv nīche reñgte bedār jismoñ kī
muarriḳh goliyoñ ke ḳhol ginte jā rahe the aur
hikāyat likh rahe the ham yahāñ mismār jismoñ kī
mohabbat sirf kahne ko ta.alluq tel paanī sā
riyāzat umr bhar karte rahe be-kār jismoñ kī
ḳhudā terā nizām-e-adl rabb-ul-ālamīñ terā
sharī.at tujh ko detī hai ijāzat chaar jismoñ kī
use to fikr dāman-gīr thī shah ke qasīde kī
kahānī ik taraf rakkhī rahī bīmār jismoñ kī
badan chhoḌo sabāhat ho sake to ruuh ko thāmo
koī dam girne vaalī hai yahāñ dīvār jismoñ kī
reaya de rahi thi shauq se begar jismon ki
yahi taqdir hai aaqa yahan nadar jismon ki
gira Dalegi tujh pe aasman jo sarsarahaT hai
tumhaare panw niche rengte bedar jismon ki
muarriKH goliyon ke KHol ginte ja rahe the aur
hikayat likh rahe the hum yahan mismar jismon ki
mohabbat sirf kahne ko talluq tel pani sa
riyazat umr bhar karte rahe be-kar jismon ki
KHuda tera nizam-e-adl rabb-ul-alamin tera
shariat tujh ko deti hai ijazat chaar jismon ki
use to fikr daman-gir thi shah ke qaside ki
kahani ek taraf rakkhi rahi bimar jismon ki
badan chhoDo sabahat ho sake to ruh ko thamo
koi dam girne wali hai yahan diwar jismon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.