reg-e-hasti ka istiara ban
reg-e-hastī kā isti'āra ban
ai samundar kabhī kināra ban
yaum-e-vāraftagī manā ik din
raqs karte hue sharāra ban
apnī marzī kī shakl de ḳhud ko
ḳhud ko saarā miTā dobāra ban
chhoḌ baaqī tamām sāzoñ ko
bas mohabbat kā ek-tārā ban
phuul ban kar dikhā zamāne ko
sañg-e-marmar na sañg-e-ḳhārā ban
ek dhāge se bāñdh le ḳhud ko
halkā-phulkā sā ho ġhubāra ban
bādaloñ se utar zamīñ par aa
āb-e-istāda tez dhārā ban
merī āñkhoñ meñ aa mohabbat se
merā dekhā huā nazāra ban
mujh meñ tā'mīr kar makāñ apnā
dar darīcha kagar usārā ban
itnī ḳhāmoshiyoñ se behtar hai
koī mā'nī bharā ishāra ban
sub.h tak ḳhuub jagmagā 'nāsir'
raat kā āḳhirī sitāra ban
reg-e-hasti ka isti'ara ban
ai samundar kabhi kinara ban
yaum-e-waraftagi mana ek din
raqs karte hue sharara ban
apni marzi ki shakl de KHud ko
KHud ko sara miTa dobara ban
chhoD baqi tamam sazon ko
bas mohabbat ka ek-tara ban
phul ban kar dikha zamane ko
sang-e-marmar na sang-e-KHara ban
ek dhage se bandh le KHud ko
halka-phulka sa ho ghubara ban
baadalon se utar zamin par aa
aab-e-istada tez dhaara ban
meri aankhon mein aa mohabbat se
mera dekha hua nazara ban
mujh mein ta'mir kar makan apna
dar daricha kagar usara ban
itni KHamoshiyon se behtar hai
koi ma'ni bhara ishaara ban
subh tak KHub jagmaga 'nasir'
raat ka aaKHiri sitara ban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.