reg-e-sahra ki rawani dekh kar
reg-e-sahrā kī ravānī dekh kar
pyaas baḌh jaatī hai paanī dekh kar
zindagī kī vus.ateñ achchhī lagīñ
sāhiloñ kī be-karānī dekh kar
ḳhud ko thoḌā sā badalnā chāhiye
mausamoñ kī bad-gumānī dekh kar
yaad aatā hai mujhe chehra tirā
shāḳh meñ barg-e-ḳhizānī dekh kar
phir dar-o-dīvār kī ḳhvāhish huī
umr bhar kī lā-makānī dekh kar
reg-e-sahra ki rawani dekh kar
pyas baDh jati hai pani dekh kar
zindagi ki wusaten achchhi lagin
sahilon ki be-karani dekh kar
KHud ko thoDa sa badalna chahiye
mausamon ki bad-gumani dekh kar
yaad aata hai mujhe chehra tera
shaKH mein barg-e-KHizani dekh kar
phir dar-o-diwar ki KHwahish hui
umr bhar ki la-makani dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.