reg-e-yaKH-basta ko pahle aag par rakkha gaya
reg-e-yaḳh-basta ko pahle aag par rakkhā gayā
phir hamāre jism ko us ret par rakkhā gayā
jazba-e-iḳhlās kī us ko sazā aise milī
umr-bhar vo pattharoñ se bāñdh kar rakkhā gayā
har taraf ik nuur kā sailāb sā jaarī huā
neza-e-zulmāt par sūraj kā sar rakkhā gayā
zindagī ne ek pal bhī na diyā mujh ko sukūñ
merī qismat meñ hamesha kā safar rakkhā gayā
ek muddat se haiñ vīrāñ qasr-e-dil ke tāqche
kyoñ charāġhoñ ko jalā kar taaq par rakkhā gayā
ḳhvāb-e-shīrīñ kī bashārat dī ga.ī pahle mujhe
aur phir āñkhoñ ko merī baam par rakkhā gayā
kyā banā.egā mujhe ye kūza-gar ko hai ḳhabar
āḳhirash miTTī ko merī ḳhaak par rakkhā gayā
mehr ko pahle hifāzat par kiyā māmūr phir
us ridā-e-sabz par āb-e-guhar rakkhā gayā
jaane kitne āshiyāñ the raah meñ us kī magar
kyoñ hadaf par bijliyoñ ke merā ghar rakkhā gayā
dasht-e-jāñ meñ har taraf phailī huī thī tīrgī
aur jugnū ko hamāre haath par rakkhā gayā
vo hañsā aur hañs ke us ne Daal dī apnī sipar
jab shikhanDī jang meñ sīna-sipar rakkhā gayā
reg-e-yaKH-basta ko pahle aag par rakkha gaya
phir hamare jism ko us ret par rakkha gaya
jazba-e-iKHlas ki us ko saza aise mili
umr-bhar wo pattharon se bandh kar rakkha gaya
har taraf ek nur ka sailab sa jari hua
neza-e-zulmat par suraj ka sar rakkha gaya
zindagi ne ek pal bhi na diya mujh ko sukun
meri qismat mein hamesha ka safar rakkha gaya
ek muddat se hain viran qasr-e-dil ke taqche
kyon charaghon ko jala kar taq par rakkha gaya
KHwab-e-shirin ki bashaarat di gai pahle mujhe
aur phir aankhon ko meri baam par rakkha gaya
kya banaega mujhe ye kuza-gar ko hai KHabar
aaKHirash miTTi ko meri KHak par rakkha gaya
mehr ko pahle hifazat par kiya mamur phir
us rida-e-sabz par aab-e-guhar rakkha gaya
jaane kitne aashiyan the rah mein us ki magar
kyon hadaf par bijliyon ke mera ghar rakkha gaya
dasht-e-jaan mein har taraf phaili hui thi tirgi
aur jugnu ko hamare hath par rakkha gaya
wo hansa aur hans ke us ne Dal di apni sipar
jab shikhanDi jang mein sina-sipar rakkha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.