reg-zar-e-hayat se guzre
reg-zār-e-hayāt se guzre
har qadam hādsāt se guzre
ḳhār-o-ḳhāshāk kā ġhubār liye
gulshan-e-kā.enāt se guzre
tujh ko paane kī justujū yārab
ham had-e-kā.enāt se guzre
sab ko hai da.avā-e-hama-dānī
kitne irfān-e-zāt se guzre
tere ghar kā tavāf karte hue
ālam-e-shash-jihāt se guzre
arsh hilne lagā thā āl-e-rasūl
tishna-lab jab furāt se guzre
shams' āfāq ke safar meñ ham
nau-ba-nau hādsāt se guzre
reg-zar-e-hayat se guzre
har qadam hadsat se guzre
KHar-o-KHashak ka ghubar liye
gulshan-e-kaenat se guzre
tujh ko pane ki justuju yarab
hum had-e-kaenat se guzre
sab ko hai dawa-e-hama-dani
kitne irfan-e-zat se guzre
tere ghar ka tawaf karte hue
aalam-e-shash-jihat se guzre
arsh hilne laga tha aal-e-rasul
tishna-lab jab furaat se guzre
shams' aafaq ke safar mein hum
nau-ba-nau hadsat se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.