registraron mein kahan gham shumari hoti hai
registraroñ meñ kahāñ ġham shumārī hotī hai
ye kaifiyat hai jo chehroñ pe taarī hotī hai
ham aise log bhī nākām isī meñ hote haiñ
vo kaam jis meñ bahut jaan maarī hotī hai
ki zaḳhm bhuul ke sab daad dene lagte haiñ
is ehtimām se taḳhrīb-kārī hotī hai
kisī kā bhī nahīñ hotā hai sirf apne sivā
vo shaḳhs jis kī yahāñ sab se yaarī hotī hai
kabhī-kabhār maiñ jī bhar ke us ko dekhtā huuñ
kabhī-kabhār yahāñ dhuñd taarī hotī hai
registraron mein kahan gham shumari hoti hai
ye kaifiyat hai jo chehron pe tari hoti hai
hum aise log bhi nakaam isi mein hote hain
wo kaam jis mein bahut jaan mari hoti hai
ki zaKHm bhul ke sab dad dene lagte hain
is ehtimam se taKHrib-kari hoti hai
kisi ka bhi nahin hota hai sirf apne siwa
wo shaKHs jis ki yahan sab se yari hoti hai
kabhi-kabhaar main ji bhar ke us ko dekhta hun
kabhi-kabhaar yahan dhund tari hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.