dil ko maal-e-ishq se begana kijiye
dil ko ma.āl-e-'ishq se begāna kījiye
parvāna kah rahā hai ki parvā na kījiye
har ḳhvāb nā-guzīr hai har kaam farz hai
kis kis se haath khīñchiye kyā kyā na kījiye
vo baat jo abhī abhī maiñ ne nahīñ sunī
vo baat ho sake to dubāra na kījiye
muḳhlis haiñ aur vo bhī mujh aise haqīr se
apne hī saath aap ye dhoka na kījiye
kyā sach meñ aap jī nahīñ sakte mire baġhair
to phir koī javāz muhayyā na kījiye
itnī bhī merī darguzarī mustaqil nahīñ
kitnī daf'a kahā hai ki aisā na kījiye
haañ shukr to zarūr bajā lā.iye huzūr
lekin hamāre zabt pe takiya na kījiye
achchhā hai infirād bhī apnī jagah magar
'javvād' koī kaam to ulTā na kījiye
dil ko maal-e-'ishq se begana kijiye
parwana kah raha hai ki parwa na kijiye
har KHwab na-guzir hai har kaam farz hai
kis kis se hath khinchiye kya kya na kijiye
wo baat jo abhi abhi main ne nahin suni
wo baat ho sake to dubara na kijiye
muKHlis hain aur wo bhi mujh aise haqir se
apne hi sath aap ye dhoka na kijiye
kya sach mein aap ji nahin sakte mere baghair
to phir koi jawaz muhayya na kijiye
itni bhi meri darguzari mustaqil nahin
kitni daf'a kaha hai ki aisa na kijiye
han shukr to zarur baja laiye huzur
lekin hamare zabt pe takiya na kijiye
achchha hai infirad bhi apni jagah magar
'jawwad' koi kaam to ulTa na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.