Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

reshmi zulf tumhaari lagi maKHmal ki tarah

Mohammad Iqbal Ahmad

reshmi zulf tumhaari lagi maKHmal ki tarah

Mohammad Iqbal Ahmad

MORE BYMohammad Iqbal Ahmad

    reshmī zulf tumhārī lagī maḳhmal tarah

    aur ye jism hai ḳhushbū bharā sandal tarah

    aap se dūriyāñ bardāsht nahīñ hotī haiñ

    meñ aatā hai lipaT kar rahūñ āñchal tarah

    ik dafa aap nazroñ se milīñ kyā nazreñ

    bas ga.iiñ aap nigāhoñ meñ haiñ kājal tarah

    maut maut nazar aa rahī tā-hadd-e-nazar

    sab adā.eñ haiñ tumhārī kisī maqtal tarah

    vo nasha hai ki ab 'iqbāl' utartā nahīñ

    har ghaḌī sāmne rahte haiñ vo botal tarah

    reshmi zulf tumhaari lagi maKHmal ki tarah

    aur ye jism hai KHushbu bhara sandal ki tarah

    aap se duriyan bardasht nahin hoti hain

    ji mein aata hai lipaT kar rahun aanchal ki tarah

    ek dafa aap ki nazron se milin kya nazren

    bas gain aap nigahon mein hain kajal ki tarah

    maut hi maut nazar aa rahi ta-hadd-e-nazar

    sab adaen hain tumhaari kisi maqtal ki tarah

    wo nasha hai ki ab 'iqbaal' utarta hi nahin

    har ghaDi samne rahte hain wo botal ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now