ret ban ban ke bikharne ki tamannai hai
ret ban ban ke bikharne kī tamannā.ī hai
zindagī dard ke sahrā meñ nikal aa.ī hai
vo har ik bazm meñ tanhā hī nazar aatā hai
zauq-e-tanhā.ī nahīñ ḳhūbī-e-yaktā.ī hai
kashtiyāñ ġharq huī hoñgī na jaane kitnī
un kī āñkhoñ ke samundar meñ vo gahrā.ī hai
jis se aage hai faqat duur talak gard-o-ġhubār
justujū ab hameñ is moḌ pe le aa.ī hai
din to chehroñ ke alāvoñ meñ jhulaste guzrā
yaad phir kis kī mujhe shaam ko ghar laa.ī hai
ret ban ban ke bikharne ki tamannai hai
zindagi dard ke sahra mein nikal aai hai
wo har ek bazm mein tanha hi nazar aata hai
zauq-e-tanhai nahin KHubi-e-yaktai hai
kashtiyan gharq hui hongi na jaane kitni
un ki aankhon ke samundar mein wo gahrai hai
jis se aage hai faqat dur talak gard-o-ghubar
justuju ab hamein is moD pe le aai hai
din to chehron ke alawon mein jhulaste guzra
yaad phir kis ki mujhe sham ko ghar lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.