ret hai izhaar ke pani ke par
ret hai iz.hār ke paanī ke paar
aur vīrānī hai vīrānī ke paar
maut kī tashkīl se ubhrā huā
kaun hai merī farāvānī ke paar
aa na paa.ī mujh talak ye kā.enāt
rah ga.ī sāñsoñ kī tuġhyānī ke paar
phail kar tujh meñ na bas jā.ūñ kahīñ
rañg mujh ko rañg-e-imkānī ke paar
kaun phūTegā adam kī kokh se
kaun lā-fānī hai lā-fānī ke paar
chhoḌ ab mafhūm kī ujḌī qabā
kuchh nahīñ ma.anī kī uryānī ke paar
ret hai izhaar ke pani ke par
aur virani hai virani ke par
maut ki tashkil se ubhra hua
kaun hai meri farawani ke par
aa na pai mujh talak ye kaenat
rah gai sanson ki tughyani ke par
phail kar tujh mein na bas jaun kahin
rang mujh ko rang-e-imkani ke par
kaun phuTega adam ki kokh se
kaun la-fani hai la-fani ke par
chhoD ab mafhum ki ujDi qaba
kuchh nahin mani ki uryani ke par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.