ret ka Dher imarat mein badalna chaha
ret kā Dher imārat meñ badalnā chāhā
maiñ ne har ḳhvāb haqīqat meñ badalnā chāhā
pahle aa.ī mirī tanhā.ī kī sāthī ban kar
phir tirī yaad ne vahshat meñ badalnā chāhā
pyaar kī ruuh se mahrūm hai vo dil jis ne
apnī fitrat ko zarūrat meñ badalnā chāhā
dekh derīna rivāyāt kā nāzuk shīsha
TuuT jā.egā jo ujlat meñ badalnā chāhā
ghar ke bigḌe hue naqshe pe na mātam kījiye
farsh ko aap ne ḳhud chhat meñ badalnā chāhā
aap raa.ī kā jo parbat na banā.eñ to kahūñ
maiñ ne nafrat ko mohabbat meñ badalnā chāhā
ret ka Dher imarat mein badalna chaha
main ne har KHwab haqiqat mein badalna chaha
pahle aai meri tanhai ki sathi ban kar
phir teri yaad ne wahshat mein badalna chaha
pyar ki ruh se mahrum hai wo dil jis ne
apni fitrat ko zarurat mein badalna chaha
dekh derina riwayat ka nazuk shisha
TuT jaega jo ujlat mein badalna chaha
ghar ke bigDe hue naqshe pe na matam kijiye
farsh ko aap ne KHud chhat mein badalna chaha
aap rai ka jo parbat na banaen to kahun
main ne nafrat ko mohabbat mein badalna chaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.