ret pe naqsh banate hue thak jate hain
ret pe naqsh banāte hue thak jaate haiñ
ḳhvāb āñkhoñ meñ sajāte hue thak jaate haiñ
yuuñ hī qabroñ meñ nahīñ so.e thake haare badan
log duniyā se nibhāte hue thak jaate haiñ
zindagī pyaas kā sahrā hai jahāñ qaid haiñ ham
aur ham pyaas bujhāte hue thak jaate haiñ
mehrbāñ koī nahīñ shahr meñ ik tere sivā
yuuñ to ham haath milāte hue thak jaate haiñ
chhoḌ jaate haiñ vahī log kaḌe vaqt meñ kyoñ
ham jinheñ apnā batāte hue thak jaate haiñ
Daste rahte haiñ ka.ī log yahāñ sāñp-mizāj
aur ham zaḳhm chhupāte hue thak jaate haiñ
lauT aao na kisī roz ai jaane vaalo
ham ġham-e-hijr chhupāte hue thak jaate haiñ
un ke sīnoñ meñ bhī hote haiñ talātum ġham ke
vo jo auroñ ko hañsāte hue thak jaate haiñ
zindagī aur tirā qarz chukā.eñ kab tak
ab to ham sher sunāte hue thak jaate haiñ
ret pe naqsh banate hue thak jate hain
KHwab aankhon mein sajate hue thak jate hain
yun hi qabron mein nahin soe thake haare badan
log duniya se nibhate hue thak jate hain
zindagi pyas ka sahra hai jahan qaid hain hum
aur hum pyas bujhate hue thak jate hain
mehrban koi nahin shahr mein ek tere siwa
yun to hum hath milate hue thak jate hain
chhoD jate hain wahi log kaDe waqt mein kyon
hum jinhen apna batate hue thak jate hain
Daste rahte hain kai log yahan sanp-mizaj
aur hum zaKHm chhupate hue thak jate hain
lauT aao na kisi roz ai jaane walo
hum gham-e-hijr chhupate hue thak jate hain
un ke sinon mein bhi hote hain talatum gham ke
wo jo auron ko hansate hue thak jate hain
zindagi aur tera qarz chukaen kab tak
ab to hum sher sunate hue thak jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.