ret pe sahil ki apne naqsh-e-pa chhoD aae hain
ret pe sāhil kī apne naqsh-e-pā chhoḌ aa.e haiñ
ai havā tere liye apnā patā chhoḌ aa.e haiñ
lauT kar dekheñge us ke aage us ne kyā likhā
Diary meñ us kī ik pannā muḌā chhoḌ aa.e haiñ
yuuñ asar-andāz akele-pan kā dukh ham pe huā
tote ke piñjre ko āñgan meñ khulā chhoḌ aa.e haiñ
shahr meñ aa kar bhaTakte phir rahe haiñ dar-ba-dar
sīdhā sā har rasta apne gaañv kā chhoḌ aa.e haiñ
guzre kyuuñ māyūs ho kar sūrat-e-sā.il huā
ik diyā dahlīz par jaltā huā chhoḌ aa.e haiñ
jaale bun kar makḌiyāñ mahfūz rakheñgī use
vaqt-e-ruḳhsat ghar meñ naam allāh kā chhoḌ aa.e haiñ
us ke ḳhālī-pan ko bhī bharne kī socheñ ai 'niyāz'
vaise to rāshan kā har Dibbā bharā chhoḌ aa.e haiñ
ret pe sahil ki apne naqsh-e-pa chhoD aae hain
ai hawa tere liye apna pata chhoD aae hain
lauT kar dekhenge us ke aage us ne kya likha
Diary mein us ki ek panna muDa chhoD aae hain
yun asar-andaz akele-pan ka dukh hum pe hua
tote ke pinjre ko aangan mein khula chhoD aae hain
shahr mein aa kar bhaTakte phir rahe hain dar-ba-dar
sidha sa har rasta apne ganw ka chhoD aae hain
guzre kyun mayus ho kar surat-e-sail hua
ek diya dahliz par jalta hua chhoD aae hain
jale bun kar makDiyan mahfuz rakhengi use
waqt-e-ruKHsat ghar mein nam allah ka chhoD aae hain
us ke KHali-pan ko bhi bharne ki sochen ai 'niyaz'
waise to rashan ka har Dibba bhara chhoD aae hain
- Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 123)
- Author : Shakeelsarosh
- Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.