ret qabiz thi bahut KHamosh lagti thi nadi
ret qābiz thī bahut ḳhāmosh lagtī thī nadī
paar karte vaqt ye jaanā ki gahrī thī nadī
jis jagah ab hai ghanī ābādiyoñ kā silsila
kal usī qasbe ke bīchoñ-bīch bahtī thī nadī
ek haibatnāk manzar dil ko dahlātā huā
rāsta apnā achānak phir se badlī thī nadī
us ke andar kī ḳhamoshī meñ ġhazab kā raaz thā
apne ik maḳhsūs lai meñ gungunātī thī nadī
mil ke lahroñ se bhī sañgam ko tarastī hī rahī
is safar meñ aisā lagtā hai akelī thī nadī
dekh qadmoñ kī thakan vo roktī apnā bahāo
aur mere ik ishāre par hī chaltī thī nadī
ye bharam thā so rahī hai vo bhañvar-āġhosh meñ
Dūbne kī aa ga.ī naubat ki jaagī thī nadī
ab baḌī ho kar samundar kī tarah lagne lagī
chand barsoñ pahle dekhā thā to chhoTī thī nadī
pul shikasta thā magar sayyāh to be-ḳhauf the
garmiyoñ ke din the chāroñ samt sūkhī thī nadī
ret qabiz thi bahut KHamosh lagti thi nadi
par karte waqt ye jaana ki gahri thi nadi
jis jagah ab hai ghani aabaadiyon ka silsila
kal usi qasbe ke bichon-bich bahti thi nadi
ek haibatnak manzar dil ko dahlata hua
rasta apna achanak phir se badli thi nadi
us ke andar ki KHamoshi mein ghazab ka raaz tha
apne ek maKHsus lai mein gungunati thi nadi
mil ke lahron se bhi sangam ko tarasti hi rahi
is safar mein aisa lagta hai akeli thi nadi
dekh qadmon ki thakan wo rokti apna bahao
aur mere ek ishaare par hi chalti thi nadi
ye bharam tha so rahi hai wo bhanwar-aghosh mein
Dubne ki aa gai naubat ki jagi thi nadi
ab baDi ho kar samundar ki tarah lagne lagi
chand barson pahle dekha tha to chhoTi thi nadi
pul shikasta tha magar sayyah to be-KHauf the
garmiyon ke din the chaaron samt sukhi thi nadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.